اردو हिंदी
Ji talak aatish-e-hijran mein sambhaala na gaya | Shaahi Shayari
ji talak aatish-e-hijran mein sambhaala na gaya

Ghazal

Ji talak aatish-e-hijran mein sambhaala na gaya

Qayem Chandpuri

;

ji talak aatish-e-hijran mein sambhaala na gaya
ghar mein sab kuchh tha pe hum se to nikala na gaya

ojhal is hasti ke tinke ke yaqini tha pahaD
ye par-e-kah hi par nazron se Tala na gaya

go ki deta tha falak mol mein dil ke do-jahan
itni qimat pe to is mal ko Dala na gaya

raKHt bandha na kis andoh o KHushi ne dil se
ek tere gham hi ka is ghar se aTala na gaya

kya zar-e-dagh na gardun ne diye 'qaem' ko
is qalandar ka pa ek roz diwala na gaya