ji rahe ya na rahe har qadam-e-yar na chhoD
ai patange tu kabhi shama ka anwar na chhoD
shama tujh ko bhi munasib tu wahan tak jal ja
sar se ta pae tilak rishta-e-zunnar na chhoD
lab-e-shirin se agar ho na tera lab shirin
kohkan tu bhi to ab daman-e-kohsar na chhoD
lila hath aawe na aawe mile jo naqa-sawar
haal-e-gham se wo kare mana par izhaar na chhoD
lafz tu ne jo kahe hain wo hi haq ai mansur
kalimatul-haq ko magar ta-ba-dam-e-dar na chhoD
ai zuleKHa mah-e-kanan ko le de mal mataa
pesh bae ke koi mushtari zinhaar na chhoD
is nasihat ko meri man ba-qaul 'afridi'
ji rahe ya na rahe par qadam-e-yar na chhoD
Ghazal
Ji rahe ya na rahe har qadam-e-yar na chhoD
Qasim Ali Khan Afridi

