ji raha hun pa kya yunhi jita rahun
main na teri taDap hun na apna sukun
ab to sarma ki shab ban ke ThiThure hai KHun
aur kab tak tumhaari tamanna karun
tum ko chaha ki thi nargisiyat fuzun
apna KHwahan tumhaari wisatat se hun
aise ruThe the lekin mile hain to yun
chahta hun ki un se na kuchh bhi kahun
hijr jaan ka ziyan wasl marg-e-junun
jite rahne ka imkan yun hai na yun
thah is dil ki dekhen pa dekhen to kyun
dekha jaega kya apne KHwabon ka KHun
fikr-e-sud-o-ziyan KHak-aluda hun
main ki tha tair-e-wusat-e-nil-gun
Ghazal
Ji raha hun pa kya yunhi jita rahun
Zia Jalandhari