اردو हिंदी
Ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath | Shaahi Shayari
ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

Ghazal

Ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath

Azhar Naiyyar

;

ji raha hun main udasi bhari taswir ke sath
shor karta hun siyah raat mein zanjir ke sath

surKH phulon ki ghani chhanw mein chupke chupke
mujh se milta tha koi ek nai tanwir ke sath

ek teri yaad ki har sans ke nazdik rahi
ek tera dard ki chaspan raha taqdir ke sath

kabhi zaKHmon ka bhi KHanda-e-gul ka mausam
hum pe khulta raha ek dard ki tafsir ke sath

baat aapas ki hai aapas hi mein rahne dije
warna hum surKHiyan ban jaenge tashhir ke sath

aap ki mez pe phir ek naya manzar hai
meri taswir bhi hai aap ki taswir ke sath

dil ke nazdik sar-e-sham-e-alam ai 'nayyar'
zaKHm ke chand chamak uThte hain tanwir ke sath