ji mein chuhlen thin jo kuchh so to gain yar ke sath
sar paTakna hi paDa ab dar-o-diwar ke sath
ek hamin KHar the aankhon mein sabhon ki so chale
bulbulo KHush raho ab tum gul-o-gulzar ke sath
KHar-e-mardud-e-chaman mujh ko kiya roz-e-azal
jin ne bheja hai tujhe guna-e-gulzar ke sath
main diwana hun sada ka mujhe mat qaid karo
ji nikal jaega zanjir ki jhankar ke sath
yaro kahte the jo tum lala-o-gul hai so kahan
sar paTakne to na aaya tha mein kohsar ke sath
hae sayyaad ye insaf se tere hai baid
yan talak kije sitam apne giraftar ke sath
garche bulbul hun main 'qaem' wale is bagh ke bich
farq koi na kare gul ko jahan KHar ke sath
Ghazal
Ji mein chuhlen thin jo kuchh so to gain yar ke sath
Qayem Chandpuri