ji ko rog laga baiTha ji ke rog se marta hun
is mein kisi se shikwa kya apni karni bharta hun
tark-e-gunah ai waiz-ji dil se nahin majburi hai
aap KHuda se Darte hain main duniya se Darta hun
duniya se kuchh faiz na tha duniya ko taj baiTha hun
allah se ummiden hain allah allah karta hun
dur to haT jaun lekin fikr-e-mohabbat ne mara
behad nazuk rishta hai TuT na jae Darta hun
kawish-e-paiham aaKHir tak hasil-e-marg-e-mayusi
ye bhi koi jina hai kis jine par marta hun
Ghazal
Ji ko rog laga baiTha ji ke rog se marta hun
Hari Chand Akhtar

