اردو हिंदी
Ji jaun jo band natiqa ho | Shaahi Shayari
ji jaun jo band natiqa ho

Ghazal

Ji jaun jo band natiqa ho

Shad Lakhnavi

;

ji jaun jo band natiqa ho
KHamosh kahin ye bolta ho

jaanbaz jo taraddud bhi tera ho
sau bar mare phir uTh khaDa ho

zarre mein ho nur-e-mahr-wash
tera jo karam ho kya se kya ho

khul jaen hazaron kucha-e-zaKHm
talwar chale to rasta ho

zulfon pe jo us ke mar miTa hun
turbat pe daraKHt jal ka ho

ghaDiyon ke hain pur-ghubar shishe
miTTi koi dil na ho gaya ho

rangin ho qaba-e-tan lahu se
jogi hun libas gerua ho

baKHshe jo falak gham-e-zamana
gham-KHwar wo hun ki nashta ho

sani hai tera muhaal ai but
paida na KHuda ka dusra ho

tan-e-KHak ho hun wo saf tinat
mela na kafan ka rongTa ho

wo bosa-e-lab mujhe ki dushnam
darwesh hun kuchh mile bhala ho

yun ai tap-e-gham jala sarapa
sar-ta-qadam ek aabla ho

ai dast-e-KHuda jo hath ki hai
hai 'shad' shikasta-pa naya ho