ji hai bahut udas tabiat hazin bahut
saqi ko pyala-e-mai-e-atishin bahut
do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili
waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut
aisi bhi is hawa mein hai ek kafiri ki rau
bujh bujh gae hain shola-e-iman-o-din bahut
be-bakiyon mein fard bahut thi wo chashm-e-naz
dil ki harif ho ke uThi sharm-gin bahut
paikar-e-KHair-o-shar se guzar aai zindagi
teri wafa ka daur tha ahd-afrin bahut
fariyaad thi chakida-e-KHun-e-gulu tamam
naghma bhi ham-safir tha kar-e-hazin bahut
ai dil tujhi pe KHatm nahin dastan-e-ishq
afsana-KHwan mile mizha o aastin bahut
aisi hawa mein ghar se nikalne ki ja na thi
warna tamam baat ka aata yaqin bahut
ai inqalab-e-rang tabiat sambhaalna
hum bhi uThe hain bazm se ab ke hazin bahut
Ghazal
Ji hai bahut udas tabiat hazin bahut
Aziz Hamid Madni