اردو हिंदी
Ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur | Shaahi Shayari
ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

Ghazal

Ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

Fani Badayuni

;

ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur
is aap ki zamin se alag aasman se dur

shayad main dar-KHur nigah-e-garm bhi nahin
bijli taDap rahi hai mere aashiyan se dur

aankhen chura ke aap ne afsana kar diya
jo haal tha zaban se qarib aur bayan se dur

ta-arz-e-shauq mein na rahe bandagi ki lag
ek sajda chahta hun tere aastan se dur

hai mana rah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh
yani kahan se pas hai manzil kahan se dur