ji chahta hai falak pe jaun
suraj ko ghurub se bachaun
bas mera chale jo gardishon par
din ko bhi na chand ko bujhaun
main chhoD ke sidhe raston ko
bhaTki hui nekiyan kamaun
imkan pe is qadar yaqin hai
sahraon mein bij Dal aaun
main shab ke musafiron ki KHatir
mishal na mile to ghar jalaun
ashaar hain mere istiare
aao tumhein aaine dikhaun
yun baT ke bikhar ke rah gaya hun
har shaKHs mein apna aks paun
aawaz jo dun kisi ke dar par
andar se bhi KHud nikal ke aaun
ai chaaragaran-e-asr-e-hazir
faulad ka dil kahan se laun
har raat dua karun sahar ki
har subh naya fareb khaun
har jabr pe sabr kar raha hun
is tarah kahin ujaD na jaun
rona bhi to tarz-e-guftugu hai
aankhen jo ruken to lab hilaun
KHud ko to 'nadim' aazmaya
ab mar ke KHuda ko aazmaun
Ghazal
Ji chahta hai falak pe jaun
Ahmad Nadeem Qasmi