ji chahega jis ko use chaha na karenge
hum ishq o hawas ko kabhi yakja na karenge
ai kash chhuTen ahd-shikan ban ke jahan mein
baz aae wafadari ka dawa na karenge
go husn-parasti na ho KHatir se faramosh
KHush-qamaton ka yaad sarapa na karenge
nargis ki shab-e-tira mein luTenge bahaaren
par surmagin aankhon ki tamanna na karenge
bahlaenge sair-e-gul-o-shabnam se dil apna
us aariz-e-gul-rang ki parwa na karenge
angaron pe loTenge par un shola-ruKHon ke
nazzara se hum aankh bhi senka na karenge
ismat ka unhen KHauf hai taqwa ka hamein pas
ne ki hai kabhi KHwahish-e-beja na karenge
bakne ke 'shahidi' ke bura maniyo mat jaan
hain aashiq-e-sadiq kabhi aisa na karenge
Ghazal
Ji chahega jis ko use chaha na karenge
Karamat Ali Shaheedi