ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo
ye sun rakho 'muhib' tum aashiq kabhu na hujo
KHun sau dilon ka hoga mashshata teri gardan
zulfon ka us ki TuTa shane se ek mu jo
jis ja farishte ke par jalte hon panw dharte
dil us gali mein sar se shayan hai jae tu jo
ik-dam mein dekh lijo phir jeb para-para
be-faeda hai naseh karta hai tu rafu jo
kis rashk-e-mehr-o-mah ke shaeq hain dekhne ke
hain mehr-o-mah phirte din-raat ku-ba-ku jo
pa kar tujhe halawat kya kya uThate hain wo
kuchh dil hi dil mein teri karte hain justuju jo
kya kya na dagh-e-hasrat sab dil hi dil mein khawen
majlis mein gul-ruKHon ki aawe wo shama-ru jo
takta muqabil us ke kis ru se mah howe
garm-e-suKHan ho zarra wo mehr-e-shoala-KHu jo
thi mauj aahu-e-chin aur sab habab nafe
dariya par us ne khole gesu-e-mushkbu jo
sail-e-sarishk mere pahunche hai gham mein tere
gulzar mein rawan hai ai gul ye aab-ju jo
gulshan mein gar wo mai-kash aawe sharab pine
gul ka bhare piyala ghunche ki hai subu jo
kale ke kaTne ki chaDhti hai lahr dil par
zulf-e-siyah us ki yaad aae hai kabhu jo
mani-shanas hi kuchh rutbe ko us ke samjhe
ek tarz ka hai apna andaz-e-guftugu jo
aashiq na hum to hote par ai 'muhib' baghal mein
dil hai wo dushman-e-jaan pita rahe lahu jo
Ghazal
Ji chahe kabe jao ji chahe but ko pujo
Waliullah Muhib