jigar mein dard to hai dil mein iztirab to hai
tumhaare gham mein meri zindagi KHarab to hai
main sirf tira-shabi par yaqin nahin rakhta
abhi zamin pe chamakne ko aaftab to hai
abhi surur ke asbab pae jate hain
ki mai-kade mein surahi to hai sharab to hai
har ek shaKHs zamane mein inqilabi hai
ki inqilab nahin fikr-e-inqilab to hai
guzar rahi hai tasawwur mein zindagi apni
ab 'arzu' na sahi aarzu ka KHwab to hai
Ghazal
Jigar mein dard to hai dil mein iztirab to hai
Naseer Arzoo