jigar KHun ho ke bahar dida-e-giryan aawega
yahi rona raha to aaj-kal tufan aawega
KHabar aate hi puchhe hai zalim baiTh ja yak-dam
haqiqat sab kahunga mujh mein jab ausan aawega
na hai ab KHak-afshani na hairani na uryani
junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega
paDhunga pichhe nama mein KHuda ke waste qasid
ye kah awwal ki yan tak wo kisi unwan aawega
na ja ai jaan Tuk tu aur bhi ek raat is tan se
suna hai kal ke din wo ghar mere mehman aawega
kisi ki qadar jite-ji nahin malum hoti hai
kare hai qatl par pichhe tujhe arman aawega
gali mein us but-e-KHun-KHwar ki 'jurat' chala to hai
wa-lekin wan se KHun mein dekhna afshan aawega
Ghazal
Jigar KHun ho ke bahar dida-e-giryan aawega
Jurat Qalandar Bakhsh