jigar ke TukDe hue jal ke dil kabab hua
ye ishq jaan ko mere koi azab hua
kiya jo qatl mujhe tum ne KHub kaam kiya
ki main azab se chhuTa tumhein sawab hua
kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida
gharaz ki roz naya ek mujhe KHitab hua
piyun na rashk se KHun kyunki dam-ba-dam apna
ki sath ghair ke wo aaj ham-sharab hua
tumhaare lab ke lab-e-jam ne liye bose
lab apne kaTa kiya main na kaamyab hua
gali gali teri KHatir phira ba-chashm-e-pur-ab
laga ke tujh se dil apna bahut KHarab hua
teri gali mein bahae phire hai sail-e-sarishk
hamara kasa-e-sar kya hua habab hua
jawab-e-KHat ke na likhne se ye hua malum
ki aaj se hamein ai nama-bar jawab hua
mangai thi teri taswir dil ki taskin ko
mujhe to dekhte hi aur iztirab hua
sitam tumhaare bahut aur din hisab ka ek
mujhe hai soch ye hi kis tarah hisab hua
'zafar' badal ke radif aur tu ghazal wo suna
ki jis ka tujh se har ek sher intiKHab hua
Ghazal
Jigar ke TukDe hue jal ke dil kabab hua
Bahadur Shah Zafar