jigar ke KHun se raushan go ye charagh raha
misal-e-mah chamakta to dil ka dagh raha
badal gaya hai zamana chali wo baad-e-sumum
na gul rahe na wo bulbul rahi na bagh raha
huzur-e-husn se KHushiyan na mil sakin na sahi
mata-e-gham se to sad shukr ba-faragh raha
wo Dal di ghalat andaz ek nazar tu ne
ki main zamin pe raha arsh par dimagh raha
na hogi bazm-e-jahan mein rasai-e-zulmat
yahan charagh se jalta agar charagh raha
kise tha hosh kisi ki talash ka 'rizwi'
tamam umr hi main darpai-e-suragh raha

Ghazal
Jigar ke KHun se raushan go ye charagh raha
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi