jigar ka jun shama kash ya-rab ho dagh raushan murad hasil
ki dil ko lau lag rahi yahi hai charagh raushan murad hasil
mudam kaifiyyat apne dil mein mai-e-mohabbat ke nashshe ki hai
ki saqi is aaftab se hai dimagh raushan murad hasil
asir-e-kunj-e-qafas to ho tum ye andalibo sada ye bolo
shitab ya-rab charagh-e-gul se ho bagh raushan murad hasil
lage na kyun aag tere sar se ki ishq mein main ne panw rakkha
baja hai ai shama tujh ko kahna dimagh raushan murad hasil
jo yar aata hai mere ghar mein to jald KHana-KHarab uD ja
jahan mein tera shugun ye sab par hai zagh raushan murad hasil
phire hai ai charKH tu to bandhe shikam pe KHurshid ka ye gurda
kahe na kyunkar ki gurisna ho charagh raushan murad hasil
jahan mein kya DhunDhta phire hai suragh yaran-e-raftagan ka
'nasir' hai chashm-e-naqsh-e-pa se suragh raushan murad hasil
Ghazal
Jigar ka jun shama kash ya-rab ho dagh raushan murad hasil
Shah Naseer