اردو हिंदी
Jigar-e-soKHta hain aur dil-e-biryan hain hum | Shaahi Shayari
jigar-e-soKHta hain aur dil-e-biryan hain hum

Ghazal

Jigar-e-soKHta hain aur dil-e-biryan hain hum

Meer Hasan

;

jigar-e-soKHta hain aur dil-e-biryan hain hum
shoale ki tarah sada dida-e-giryan hain hum

muttasil laKHt-e-jigar karte hain aankhon se sada
aah kis aashiq-e-gham-dida ki mizhgan hain hum

kabhi hanste hain kabhi rote hain jalte hain kabhi
gul hain shabnam hain ki ya aatish-e-sozan hain hum

hum mein hi aalam-e-akbar hue go jurm-e-saghir
mazhar-e-jalwa-e-haq hazrat-e-insan hain hum

dahr pur-shor hai hathon se hamare ai aah
aafrinash mein magar nala-o-afghan hain hum

fikr-e-jamiyyat-e-dil hum ko kahan aah 'hasan'
KHatir-ashufta-e-gesu-e-pareshan hain hum