jidhar wo hain udhar hum bhi agar jaen to kya hoga
irade hashr mein ye kaam kar jaen to kya hoga
kisi ne aaj tak us ka pata paya jo hum pate
makan-o-la-makan se bhi guzar jaen to kya hoga
ye kaliyon ka tabassum aur ye phulon ki ranai
bahaaron mein agar wo bhi sanwar jaen to kya hoga
yaqin wade ka un ke KHud-farebi hi sahi lekin
ye do din bhi umidon mein guzar jaen to kya hoga
ghanimat hai wo subh-e-hashr se pahle chale aae
shab-e-aKHir bhi nale be-asar jaen to kya hoga
jidhar shaiKH-o-barahman phir rahe the DhunDte 'rizwi'
usi jaanib tere shorida-sar jaen to kya hoga

Ghazal
Jidhar wo hain udhar hum bhi agar jaen to kya hoga
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi