jidhar se wadi-e-hairat mein hum guzarte hain
udhar to ahl-e-tamanna bhi kam guzarte hain
tere huzur jo anfas-e-gham guzarte hain
ajab hayat ke aalam se hum guzarte hain
rawan hai barq ka shoala sahab-e-rahmat mein
naqab Dal ke ahl-e-sitam guzarte hain
hayat rok rahi hai koi qadam na baDhae
ki aaj manzil-e-hasti se hum guzarte hain
lalak baDha ke faqat chand bund barsa ke
rawan-dawan se sahab-e-karam guzarte hain
tajjub un ke liye marg-e-na-gahani ka
jo zindagi ke marahil se kam guzarte hain
muKHalifat hai khuli ab na dosti 'ahsan'
ghuTi ghuTi si fazaon se hum guzarte hain
Ghazal
Jidhar se wadi-e-hairat mein hum guzarte hain
Ahsan Rizvi Danapuri