jidhar nigah uThi khinch gai nai diwar
tilism-e-hosh-ruba mein hai zindagi ka shumar
har ek samt musallat hai ghor tariki
bujhe bujhe nazar aae tamam shahr-o-dayar
ye shahr jaise chuDailon ka koi maskan ho
zabanen gung hain tarsan hain kucha-o-bazar
KHud apni zat mein hum is tarah muqayyad hain
na dil mein tab-o-tawan hai na jurat-e-izhaar
jo apne sine pe aksar saja ke rakhte hain
wo tamgha-ha-e-tahawwur to le gae aghyar
kamal-e-naz tha apni zaraf-nigahi par
ajab ki paDh na sake hum nawishta-e-diwar
wo maulwi ki usulon ke pasban the kabhi
wahi to bechte phirte hain jubba-o-dastar
warud-e-sher pe hadd-e-adab ke pahre hain
jo sach kahoge to Thahroge ek din ghaddar
'wahid' kar-e-siyasat hai kar-e-be-karan
zaban ko rok lo qaem rahe adab ka waqar
Ghazal
Jidhar nigah uThi khinch gai nai diwar
Waheed Quraishi