jidhar ho zindagi mushkil udhar nahin aate
ajal se pahle mere chaara-gar nahin aate
bana hua hai mera shahr qatl-gah koi
palaT ke maon ke laKHt-e-jigar nahin aate
uThae apnon ki lashen jo tum ho nauha-kunan
mere shahid tumhein kyun nazar nahin aate
na intizar karo in ka ai aza-daro
shahid jate hain jannat ko ghar nahin aate
main nauhe kab nahin likhta hun raftagan ke 'zafar'
kab ashk misl-e-huruf-e-hunar nahin aate
Ghazal
Jidhar ho zindagi mushkil udhar nahin aate
Sabir Zafar