jidhar bhi dekhiye ek rasta bana hua hai
safar hamare liye masala bana hua hai
main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun
jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai
main kya karun mera gosha-nashin hona bhi
paDosiyon ke liye waqia bana hua hai
magar main ishq mein parhez se bandha hua hun
tera wajud to KHush-zaeqa bana hua hai
burida shaKHen hain ya shama-ha-e-gul-shuda hain
KHamida peD hai ya maqbara bana hua hai
mere gunah dar-o-diwar se jhalak rahe hain
makan mere liye aaina bana hua hai
shuuri koshishen manzar bigaD deti hain
wahi bhala hai jo be-saKHta bana hua hai
kisi dua ke liye hath uThe hue 'shahid'
kisi diye ke liye taqcha bana hua hai

Ghazal
Jidhar bhi dekhiye ek rasta bana hua hai
Shahid Zaki