اردو हिंदी
JhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae | Shaahi Shayari
jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

Ghazal

JhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae

Fana Nizami Kanpuri

;

jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae
dhudli hi sahi lekin ek shama to jal jae

is mauj ki Takkar se sahil bhi larazta hai
kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae

majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho
waiz ka ye mansha hai mai-KHwaron mein chal jae

ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla
hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae

is waste chheDa hai parwanon ka afsana
shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae

mai-KHana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai
sambhle to bahak jae bahke to sambhal jae

hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha
KHud zindagi-e-shaer ashaar mein Dhal jae