jhuTe iqrar se inkar achchha
tum se to main hi gunahgar achchha
habs chhaT jae diya jalta rahe
ghar bas itna hi hawa-dar achchha
ijz KHwari hai na zahir-dari
ijz ko chahiye meayar achchha
ye imarat hai isi waste KHub
is imarat ka tha meamar achchha
ab bhi ek KHidmat-e-shah KHaslat mein
sham ko jamta hai darbar achchha
chhoDo ye tajrabe ai chaaragaro
jine do mujh ko main bimar achchha
sukh se to fan kabhi panpa hi nahin
jo dukhi hai wahi fankar achchha
Ghazal
JhuTe iqrar se inkar achchha
Mahshar Badayuni