jhuT raushan hai ki sachchai nahin jaante hain
log ab wahm o guman ko hi yaqin jaante hain
ye alag baat ki aati nahin duniya-dari
ahl-e-duniya ko magar gosha-nashin jaante hain
taq o mehrab ka rona ho ki diwar ka gham
baam o dar par jo guzarti hai makin jaante hain
waraq-e-dil pe abhi naqsh hai shab-nama-e-gham
phir bhi har subh ko hum subh-e-hasin jaante hain
jhuk ke milte to hain wo KHak-nashinon se magar
aasman walon ko hum ahl-e-zamin jaante hain
sab ke honTon pe munawwar hain hamare qisse
aur hum apni kahani bhi nahin jaante hain
koi dar qabil-e-tazim nazar to aae
sar jhukana hai kahan ahl-e-jabin jaante hain

Ghazal
JhuT raushan hai ki sachchai nahin jaante hain
Sultan Akhtar