jhuT ki miqdar kam hai aur sachchai bahut
saf-goi se hui hai meri ruswai bahut
apni kam-goi se qad-awar to chhoTe ban gae
baDh gai laffaz baunon ki ab unchai bahut
be-niyazana main apni justuju mein gum raha
yaad un ki mere dil mein aa ke sharmai bahut
tira-baKHti ne asiri mein nibhaya mera sath
rauzan-e-zindan se yun to raushni aai bahut
khokhle alfaz marham ban na pae ai 'raza'
jhuTe sachche aansuon ne ki masihai bahut
Ghazal
JhuT ki miqdar kam hai aur sachchai bahut
Qazi Hasan Raza