jhuT kahun to dil tayyar nahin hota
sach se lekin beDa par nahin hota
aap nafa mein KHush hain hum ghaTe mein KHush
rishton ka hum se bewpar nahin hota
ram ki shabri jangal mein to rahti hai
beron par us ka adhikar nahin hota
sab kewal apni kamzori jite hain
rishta to koi bimar nahin hota
sunna sahna chup rahna phir hansna bhi
KHud pe itna attyachaar nahin hota
KHud se Darna kashti pe bhi shak karna
ab aise to dariya par nahin hota
ye sach hai wo har hafte hi aata hai
sab ki qismat mein itwar nahin hota
sidhe sachche achchhe bhi hain log bahut
kaise likh dun do do chaar nahin hota

Ghazal
JhuT kahun to dil tayyar nahin hota
Pratap Somvanshi