jhuT firdaus ke fasane hain
dur ke Dhol hi suhane hain
bholi baaton mein bhi bahane hain
kam-sini mein baDe siyane hain
puchhiye un se ishq ki rahen
ki KHizar aadmi purane hain
baalchhaD kya kahun main kakul ko
saikDon is mein shaKHsane hain
tauq gardan mein panw mein zanjir
yahi hum wahshiyon ke bane hain
ai pari kya karen hum ab tasKHir
na tu mulla na hum siyane hain
abr-e-rahmat ho ya ki abr-e-karam
mai-paraston ke shamiyane hain
paenti hain malak to hon ai 'shad'
gham nahin panj-tan sirhane hain
Ghazal
JhuT firdaus ke fasane hain
Shad Lakhnavi