jhum kar badli uThi aur chha gai
sari duniya par jawani aa gai
aah wo us ki nigah-e-mai-farosh
jab bhi uTThi mastiyan barsa gai
gesu-e-mushkin mein wo ru-e-hasin
abr mein bijli si ek lahra gai
aalam-e-masti ki tauba al-aman
parsai nashsha ban kar chha gai
aah us ki be-niyazi ki nazar
aarzu kya phul si kumhla gai
saz-e-dil ko gudgudaya ishq ne
maut ko le kar jawani aa gai
parsai ki jawan-margi na puchh
tauba karni thi ki badli chha gai
'aKHtar' us jaan-e-tamanna ki ada
jab kabhi yaad aa gai taDpa gai
Ghazal
Jhum kar badli uThi aur chha gai
Akhtar Shirani