jhum kar aaj jo matwali ghaTa aai hai
yaad kya kya teri mastana ada aai hai
aise nazuk kabhi paband-e-hina hote hain
hath dho Dale hain rangat jo zara aai hai
tum bhi ruKHsar pe zulfon ko zara bikhra do
kali kali sar-e-gulzar ghaTa aai hai
husn-e-aKHlaq bhi hai husn-e-jawani ki tarah
jhuk gai hain teri aankhen jo haya aai hai
hae wo khol ke juDa ye kisi ka kahna
aaiye so rahen ab raat siwa aai hai
sach hai tum ne jo lagaya nahin munh ghunchon ko
unhen phir kis ke tabassum ki ada aai hai
kis ka dil KHun nahin hai chaman-e-alam mein
patti patti se hamein bu-e-wafa aai hai
raat bhar girya-e-shabnam se jo ghunche the udas
subh hote hi hansane ko saba aai hai
sher-KHwani pe teri sab ko guman hai ki 'jalil'
bazm mein ruh-e-amir-usshuara aai hai
Ghazal
Jhum kar aaj jo matwali ghaTa aai hai
Jaleel Manikpuri