اردو हिंदी
Jhurriyon ki qatar dekho to | Shaahi Shayari
jhurriyon ki qatar dekho to

Ghazal

Jhurriyon ki qatar dekho to

Dr. Azam

;

jhurriyon ki qatar dekho to
umr se apni haar dekho to

huk be-iKHtiyar uThti hai
apne jab iKHtiyar dekho to

jhil kahte ho tum jin aankhon ko
un mein hain aabshaar dekho to

jaane kya kya nazar wo aata hai
jab use bar bar dekho to

ghair-mumkin hai ittihad miyan
qaum mein intishaar dekho to

wasl se aap hi gurezan hon
lazzat-e-intizar dekho to

do hi misron mein hai mukammal nazm
wusat-e-iKHtiyar dekho to