اردو हिंदी
Jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere | Shaahi Shayari
jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere

Ghazal

Jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere

Hasan Kamal

;

jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere
kash kabhi tum aa jao badle hain haalat mere

main kya jaanun kis manzil ki kin rahon ki khoj mein hun
mera Thor Thikana gham hai koi na aae sath mere

tum raswanti narm lajili taza konpal sabz kali
main patjhaD ka mara pipal sukh chale hain pat mere

tum kya jaano mera jina jite-ji mar jaana hai
pap se dil ko lakh bacha lun phans jate hain hath mere