jhulasti dhup mein ThanDi hawa ka jhonka bhej
chaman se jaanib-e-sahra bhi koi tohfa bhej
mujhe taghayyur-e-mausam ka kuchh yaqin dila
agar tasalsul-e-baran nahin to qatra bhej
bahut dinon se mujhe tere KHwab aate hain
koi payam koi KHair ka sandesa bhej
kabhi meri bhi samaat pe koi naghma likh
mere bhi ghar ke shajar par koi parinda bhej
hamare sahn mein shaKHon ke hath KHali hain
bahaar un ke liye motiye ka gajra bhej
KHala ke gumbad-e-be-dar mein koi rauzan kar
KHuda-e-nur falak par koi sitara bhej
har ek faqir pe bab-e-karam nahin khulta
'rauf' amir dar-e-nim-wa se kasa bhej

Ghazal
Jhulasti dhup mein ThanDi hawa ka jhonka bhej
Raoof Ameer