jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha
mere sar ki bulandi se wahan mahshar bapa tha
qusur-e-be-KHudi mein jis ko suli di gai hai
hamare hi qabile ka wo tanha sar-phira tha
use jis shab madhur aawaz mein gana tha lazim
riwayat hai ki us shab bhi parinda chup raha tha
farishte dam-ba-KHud KHaif sarasima faza thi
Hujum-e-gumrahan tha aur KHuda ka samna tha
musafir jis ke rukne ki tawaqqo thi zyaada
na jaane kyun bahut jaldi safar par chal diya tha
Ghazal
Jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha
Siraj Ajmali