jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe
raat aa gai to KHud se baDa Dar laga mujhe
itna gudaz hai mera dil fart-e-dard se
phenka kisi ne phul to patthar laga mujhe
KHud hi ubhar ke Dub gaya apni zat mein
suraj ek iztirab ka paikar laga mujhe
ye sham-e-wada hai ki paDaw hai waqt ka
ek lamha ek sadi ke barabar laga mujhe
jaise main teri zat ka aks-e-jamil hun
yun bhi tere firaq mein akasr laga mujhe
is shor mein muhaal tha tera KHayal bhi
sahra bhi tere shahr se behtar laga mujhe
daman se dho raha tha main dhabbe gunah ke
qatra bhi aansuon ka samundar laga mujhe
taza hawa mein sukh ka koi sans le sakun
ai rabb-e-kainat zara par laga mujhe

Ghazal
Jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe
Siddique Afghani