jhonka hawa ka adh-khuli khiDki tak aa na jae
jine ka us ko koi saliqa sikha na jae
kankar se chaknachur hai sayyal aaina
qirtas-e-mauj ka koi likkha miTa na jae
uryan khaDi hui ye siyah si pahaD shab
suraj ki infiali nazar ko jhuka na jae
jab se hui hai meri zaban zahr-ashna
amrit ka ek ghunT bhi mujh se piya na jae
gardish mein aasman mera sath de magar
meri hatheliyon ki lakiren miTa na jae
kal ek ajib waqia guzra 'shakeb-ayaz'
sochun to KHud pe KHub hansun aur kaha na jae
Ghazal
Jhonka hawa ka adh-khuli khiDki tak aa na jae
Shakeb Ayaz