اردو हिंदी
Jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka | Shaahi Shayari
jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

Ghazal

Jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka

Abbas Tabish

;

jhilmil se kya rabt nikalen kashti ki taqdiron ka
tare kashf nahin kar sakte be-awaz jaziron ka

har nakaami ne aise bhi kuchh diwaren khinchi hain
ek be-naqsha shahr bana hai la-hasil tadbiron ka

ek muddat se qarya-e-jaan mein jhaDte hain jhankar ke phul
jaise mere jism ke andar mausam ho zanjiron ka

dur se jhunD parindon ka lagte hain KHeme walon ko
kis andaz ka aana hai ye aag chhiDakte tiron ka

raat gae jab tare bhi kuchh be-mani se lagte hain
ek dabistan khulta hai un aankhon ki tafsiron ka

ek hatheli par us ne mahkae hina ki sundar phul
ek hatheli ki qismat mein likkha dasht lakiron ka