jhijak raha hun use aashkar karte hue
jo kashmakash thi tera intizar karte hue
kaTili dhup ki shiddat ko bhi nazar mein rakho
kisi daraKHt ko be-barg-o-bar karte hue
hawa ke panw bhi shal ho ke rah gae akasr
tere nagar ki fasilon ko par karte hue
yahi hua ki samundar ko pi ke baiTh gai
hamari naw safar iKHtiyar karte hue
kahan wo zat ki jis ko sukun milta tha
tamam rahaten hum par nisar karte hue
Ghazal
Jhijak raha hun use aashkar karte hue
Sultan Nizami