jhapaTte hain jhapaTne ke liye parwaz karte hain
kabutar bhi wahi karne lage jo baz karte hain
wahi qisse wahi baaten ki jo ghammaz karte hain
tere hamraaz karte hain mere dam-saz karte hain
ba-sad hile bahane zulm ka dar baz karte hain
wahi jaan-baz jin par har ghaDi hum naz karte hain
ziyaada dekhte hain jab wo aankhen pher lete hain
nazar mein rakh rahe hon to nazar-andaz karte hain
sataish-ghar ke pankhon se hawa to kam hi aati hai
magar chalte hain jab zalim bahut aawaz karte hain
zamane bhar ko apna raaz-dan karne ki Thahri hai
to behtar hai chalo us shoKH ko hamraaz karte hain
Daraata hai bahut anjam-e-namrudi mujhe 'KHalid'
KHuda lahje mein jab bande suKHan aaghaz karte hain
Ghazal
JhapaTte hain jhapaTne ke liye parwaz karte hain
Khalid Mahmood