jhagDe apne bhi hon jab chaak-garebanon ke
kaam hote hue rah jate hain viranon ke
jaise aankhon ke ye do til hon jo tabdil na hon
ghol aate hue jate hue insanon ke
log hi log uDe jate hain galiyon galiyon
hum ne kuchh naqshe uchhaale the bayabanon ke
aasman girta hua saf nazar aata hai
baala-KHanon mein ye dar khulte hain tah-KHanon ke
baat ki aur phir us baat ka matlab puchha
din bure bhi baDe achchhe rahe diwanon ke

Ghazal
JhagDe apne bhi hon jab chaak-garebanon ke
Shaheen Abbas