jehl ko ilm ka mear samajh lete hain
log sae ko bhi diwar samajh lete hain
chheD kar jab bhi kisi zulf ko tu aati hai
ai saba hum teri raftar samajh lete hain
tu faqat jam ka mafhum samajh ai saqi
tishnagi kya hai ye mai-KHwar samajh lete hain
hum ki hain jumbish-e-abru ki zaban se waqif
tere khinchne ko bhi talwar samajh lete hain
ab kisi barhami-e-zulf ka charcha na karo
log apne ko giraftar samajh lete hain
jo bhi bazar mein dam-bhar ko Thahar jata hai
sada-dil us ko KHaridar samajh lete hain
dil ke asrar chhupate hain wo hum se 'shair'
hum ki rang-e-lab-o-ruKHsar samajh lete hain
Ghazal
Jehl ko ilm ka mear samajh lete hain
Shaayar Lakhnavi