jazbon se farozan hain dahakte hue ruKHsar 
kya hashr-ba-daman hain dahakte hue ruKHsar 
raushan hai ajal aur abad un ki ziya se 
ye rahmat-e-yazdan hain dahakte hue ruKHsar 
baDhne lagi kuchh aur wahan aatish-e-jazbaat 
dil mein mere mehman hain dahakte hue ruKHsar 
kar di hai lab o chashm ne tasdiq hamari 
husn-e-ruKH-e-jaanan hain dahakte hue ruKHsar 
chingariyan uThti hain to lagti hain hamein phul 
jadu-e-bahaaran hain dahakte hue ruKHsar 
zulfon ki hawaen to 'suhail' aur ghazab hain 
ab aag ka tufan hain dahakte hue ruKHsar
        Ghazal
Jazbon se farozan hain dahakte hue ruKHsar
Suhail Kakorvi

