jazbon ko zaban de raha hun
main waqt ko dan de raha hun
mausam ne shajar pe likh diya kya
har harf pe jaan de raha hun
yun hai nam-e-KHak ban ke jaise
faslon ko uThan de raha hun
jo jo bhi KHamida-sar hain un ke
hathon mein kaman de raha hun
kaisi had-e-jabr hai ye jis par
be-waqt azan de raha hun
auqat meri yahi hai 'majid'
haari hui lagan de raha hun

Ghazal
Jazbon ko zaban de raha hun
Majid Siddiqui