jazbon ko kiya zanjir to kya taron ko kiya tasKHir to kya
wo shaKHs nazar bhar ruk na saka ehsas tha daman-gir to kya
kuchh bante miTte daere se ek shakl hazaron taswiren
sab naqsh-o-nigar uruj pe the aankhen thin zawal-pazir to kya
KHush hun ki kisi ki mahfil mein arzan thi mata-e-bedari
ab aankhen hain be-KHwab to kya ab KHwab hain be-tabir to kya
KHwahish ke musafir to ab tak tariki-e-jaan mein chalte hain
ek dil ke nihan-KHane mein kahin jalta hai charagh-e-zamir to kya
sahra-e-tamanna mein jis ke jine ka jawaz hi jhonke hon
us ret ke zarron ne mil kar ek nam kiya tahrir to kya
likhta hun to poron se dil tak ek chandni si chha jati hai
'qasir' wo hilal-e-harf kabhi ho pae na mah-e-munir to kya
Ghazal
Jazbon ko kiya zanjir to kya taron ko kiya tasKHir to kya
Ghulam Mohammad Qasir