jazbaat ki rau mein bah gaya hun
kahna jo na tha wo kah gaya hun
har lamha-e-sar-KHushi mein aksar
do ashk baha ke rah gaya hun
tha jin pe guman tere sitam ka
kuchh aise karam bhi sah gaya hun
shayad wo ise junun samajh len
ek baat pate ki kah gaya hun
ab kya gham-e-sahil-o-talatum
ek mauj ke sath bah gaya hun
Ghazal
Jazbaat ki rau mein bah gaya hun
Shakeel Badayuni

