jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo
ku-ba-ku raushan charag-e-karwan karte chalo
chashm-e-saqi pur-tabassum mai-kada bahka hua
aao qismat ko harif-e-kahkashan karte chalo
chhin lao aasman se mahr o mah ki azmaten
aur TuTe jhonpaDon ki zau fashan karte chalo
zindagi ko log kahte hain barae-bandagi
zindagi kaT jaegi zikr-e-butan karte chalo
jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru
ishq ki rahon mein kuchh aise guman karte chalo
har nafas ai jine walo shaghl-e-paimana rahe
be-KHudi ko zindagi ka pasban karte chalo
chheD kar 'saghar' kisi ke gesuon ki dastan
in shagufon ko zara shola-zaban karte chalo
Ghazal
Jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo
Saghar Siddiqui