jazba-e-shauq ko is taur ubhaara jae
hum jidhar jaen udhar un ka nazara jae
aapsi rishton ki KHushbu ko koi nam na do
is taqaddus ko na kaghaz par utara jae
saikDon nam tere aur hain be-nam bhi tu
kaun se nam se ab tujh ko pukara jae
raqs karti hai lahakti hai ajab masti mein
kashti-e-dil ke bhanwar mein jo utara jae
meri ghairat ko kisi taur gawara hi nahin
tang-dasti mein bhi hath apna pasara jae
dil ke soe hue armanon ne angDai li
zindagi aa tujhe shishe mein utara jae
subh-e-raushan ko to aana hai wo aaegi zarur
is bharose pe shab-e-gham ko guzara jae
aaina dekh ke nahaq ye bigaDna kaisa
gard aaine pe hai us ko utara jae
apne purkhon ki inayat ki tazim karo
ye hai wo qarz jo sadiyon na utara jae
aaj ke daur mein wajib hai yahi 'chand' ki hum
sath den us ka jidhar waqt ka dhaara jae
Ghazal
Jazba-e-shauq ko is taur ubhaara jae
Mahendra Partap Chand