jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya
baat ban jaegi qismat ne agar sath diya
aap uThenge kab aaghosh-e-tamanna se meri
zindagi ka shab-e-furqat ne agar sath diya
sath degi na kabhi meri mohabbat mera
aap ki chashm-e-inayat ne agar sath diya
nahin malum ki anjam-e-mohabbat kya ho
gham ka KHud gham ki haqiqat ne agar sath diya
kahin gumnam na ho jaen wafa mein meri
meri ruswai ki shohrat ne agar sath diya
bad-gumani mein mohabbat ka izafa hoga
KHud mera meri musibat ne agar sath diya
chain se hogi basar apni judai mein 'shajia'
un nigahon ki shararat ne agar sath diya
Ghazal
Jazba-e-dard-e-mohabbat ne agar sath diya
Nawab Moazzam Jah Shaji