jazb hone bhi na pae the hamare aansu
yaad phir aa gae bhule se tumhaare aansu
ban hi jate kabhi hasti ke sahaare aansu
hae ruk hi na sake hum se hamare aansu
meri aankhon mein rahe wo to khaTakte hi rahe
un ke daman pe bane chand-sitare aansu
TuTti hai dil-e-gham-ghin pe qayamat kya kya
aa ke palkon pe jo rukte hain hamare aansu
ye na hote to qayamat tha sahar tak jina
mere pyare meri raaton ke sahaare aansu
azmat-e-ishq hai pabandi-e-zabt-e-furqat
yani tauhin-e-mohabbat hain hamare aansu
ek aansu na bahaun gham-e-duniya ke liye
gham-e-jaanan ke liye hain mere sare aansu
wo bhi kya saat-e-rangin thi ki jab ai 'maikash'
un ke aanchal mein hue jazb hamare aansu

Ghazal
Jazb hone bhi na pae the hamare aansu
Masood Maikash Muradabadi